Saturday, April 9, 2022

Mai Tumhara

 Agar jo keh do ke tum bin nahi guzara

To mai tumhara

Kar do in haseen aankhon se ek ishara

To mai tumhara


Tum khelna apni sharton pe

Mai jaise chahu lagau baazi

Agar mai jeeta

To tum ho mere

Agar mai haara...

To mai tumhara


Mai tumhara hone ke faisle ko apni kismat pe chodta hoon..

Jo muqaddar ka toota kabhi koi sitara

To mai tumhara


Tum tanha mehsoos karo na khud ko kabhi

Jab lage ke sahil ka nahi koi kinara

To mai tumhara


Gharoor parwar anaha ka maalik

Kuch is s tarah ke hain naam mere

Magar qasam se tumne ek naam bhi pukara

To mai tumhara


Agar jo keh do ke tum bin nahi guzara

To mai tumhara....

Mai tumhara....


2 comments:

Zindagi aurrr kuch bhi nahi... Teri meri kahani hai...